Koshish par mit janay doh

. . 1 comment:
Achhay nahi ho keh ker, yun na mujhay thukrao!
Koshish ka ek mauka doh, aur mujhay aazmao!
Paa saka apni manzil ko, tab mujhay apna lena tum!
Na paa saka apni manzil, toh beshaque thukra dena!
Na shikwa karunga koi, na koi shikaayat hogi!
Phir bhi kahin is dil mein, teri mohobbat hogi!
Kuchh paaker hi zindagi mein, tujhay panay ki ummeed rakhunga!
Na paa saka tujhay phir bhi, teri dosti ki kadar karunga!
Ek arsaa laga hai mujhko, is raah per chal panay ko!
Asaan nahi kadam hatana, mujhay chaltay hi janay doh!
Arzu dil mein jo jagi thi, woh ummeed ban chuki hai!
Aitraaz na karo tum yaar mere!
Mujhay is koshish per mit janay doh!

© Copyright - Kcalpesh Ajugia

1 comment:

Veena said...

Kabhi Yaad Aaye To Pochna,
Zara Apni Kahlwat-E-Sham Se,
Kise Ishq Tha Teri Zaat Se,
Kise Pyar Tha Tere Naam Se,
Zara Yaad Karo Ke Wo Koun Tha,
Jo Kabhi Tujhe Bhi Azeez Tha,
Wo Jo Je Utha Tere Naam Se,
Wo Jo Mar Mita Tere Naam Pay,
Yehi Wafaoon Ka Hai Sila,
Magar Aisa Juram Tha Kon Sa,
Gay Hum Dua-O-Salam Se,
Na Kabhi Visal Ki Chah Ki,
Na Kabhi Firaaq Mai Aah Ki,
Mera Tareeqa-E-Bandagi,
Hai Juda Tareeqa-E-Aam Se...

shayarism.com

Why Shayarism?

Shayarism as in Poetism, the word definitely means I'm going to post a few shayaries & poems here on this blog.

I wrote these shayaries based on various situation of life one can be in. Few are based on personal life experinece while the others have been written on general subjects.

I like reading and ocassionally writing poems. Hence sharing a few with you guys. Hope you like them.

Powered by Blogger.